♟️ Grand Master Divya Deshmukh: India ki Chess Queen jinko Maharashtra government ki aur se 3 crore aur trophy uphar diya gaya.
2 mins read

♟️ Grand Master Divya Deshmukh: India ki Chess Queen jinko Maharashtra government ki aur se 3 crore aur trophy uphar diya gaya.

♟️ Divya Deshmukh: India ki Chess Queen Jo Ban Gayi Grandmaster!

India mein chess ka craze badhta ja raha hai, aur is revolution ka ek shining star hai – Divya Deshmukh. Nagpur se aayi ye choti si ladki, aaj duniya ke chess board par apna jhanda gaad chuki hai!

👶 Shuruat: 5 Saal Ki Umr Mein Bana Chess Se Pyaar

Divya ka janm hua tha 9 December 2005 ko Nagpur, Maharashtra mein. Doctor parents ki beti, par dil mein tha sirf ek shauk – Chess. Sirf 5 saal ki umr mein unhone apna pehla chess tournament khela, aur tab se kabhi peeche mudh ke nahi dekha.

🏆 Important Achievements

✅ 2020:

FIDE Online Chess Olympiad mein India ke liye Gold Medal jeeta.

✅ 2021:

Woman Grandmaster (WGM) ka title mila – sirf 15 saal ki umr mein!

✅ 2022:

Indian Women’s Chess Champion bani.

Chennai Olympiad mein Individual Bronze Medal jeeta.

✅ 2023:

Asian Women’s Champion bani.

Tata Steel Rapid Chess mein world-class players ko haraaya jaise Harika aur Humpy.

👑 2024-2025: Jab Divya Ne Duniya Jeeti

🔥 June 2024:

World U-20 Chess Championship jeeti 10/11 ke score ke saath. Wah!

🥇 July 2025:

FIDE Women’s World Cup jeet kar history rachi –
Divya Deshmukh bani India ki pehli aur duniya ki third World Cup Champion!

Is win ke saath unhe mila Grandmaster (GM) ka title –
ab wo India ki 88th GM hain!

🧡 Emotional Moment:

Victory ke baad Divya ne apna GM title dedicate kiya apne pehle coach Rahul Joshi ko jo 2020 mein pass away ho gaye the. “Unka sapna tha ki main GM banu,” Divya ne kaha.

🎉 Nagpur Ka Grand Welcome

World Cup jeetne ke baad jab Divya wapas Nagpur aayi, toh airport par unka royal welcome hua – phool, banners, fans, politicians sab unka intezaar kar rahe the. Divya ko Maharashtra Government ki aur se 3 crore rupees and trophy bhi gift mein diya gaya unke is grand achievement ke liye. Ye wo women desi pride mese ek hai jinhone saare world m desh ka naam roshan kiya. Hume inpe garv hai.